KHair laya to junun diwar se dar ki taraf
ab nazar jaane lagi bahar se andar ki taraf
kashti-e-ummid ke har baadban uDne lage
kis ne ruKH moDa hawaon ka samundar ki taraf
yun bhi hota hai madaraat-e-junun ke shauq mein
phul jaise hath uTh jate hain patthar ki taraf
hum ne samjhe the ki ye hoga maal-e-kar-e-ishq
ruKH kiya baad-e-bahaari ne mere ghar ki taraf
di hai 'nayyar' mujh ko saqi ne ye kaisi KHas mai
sab ki nazren uTh rahi hain mere saghar ki taraf
Ghazal
KHair laya to junun diwar se dar ki taraf
Nayyar Sultanpuri