KHabar nahin ki safar hai ki hai qayam abhi
tilism-e-shahr mein khoe hain KHas-o-am abhi
sada bhi dega kabhi to sukut ka sahra
kisi ko hone to do KHud se ham-kalam abhi
jo dekhiye to zamana hai tez-rau kitna
tulu-e-subh abhi hai to waqt-e-sham abhi
wo qaht-e-ab hai dariya bhi sare KHushk hue
rawan jo abr hai karta nahin qayam abhi
ab ittifaq se bach kar nikal gae to kya
rah-e-talab mein to 'nadir' hain kitne dam abhi
Ghazal
KHabar nahin ki safar hai ki hai qayam abhi
Athar Nadir