اردو हिंदी
Khaali sharab-e-ishq se saghar kabhi na the | Shaahi Shayari
Khaali sharab-e-ishq se saghar kabhi na the

Ghazal

Khaali sharab-e-ishq se saghar kabhi na the

Masooda Hayat

;

KHali sharab-e-ishq se saghar kabhi na the
aise to KHushk dal ke samundar kabhi na the

jo sang-e-ehtisab yaganon ke pas hain
dushman ke hath mein bhi wo patthar kabhi na the

kis samt ja rahe hain unhen KHud pata nahin
yun be-KHabar to rah se rahbar kabhi na the

dil TukDe TukDe ho gaya zaKHmi hai ruh bhi
itne to tez waqt ke nashtar kabhi na the

milta nahin kahin bhi dar-o-baam ka nishan
hum ghar mein rah ke itne to be-ghar kabhi na the

kya jaanen kya huin wo hasin shoKHiyan 'hayat'
aise niDhaal phul se paikar kabhi na the