KHak par hi mere aansu hain na daman mein kahin
jo teri rah mein khoya gaya paya na gaya
sabab-e-KHanda-e-gul gul ko nahin KHud malum
is tarah koi bhi diwana banaya na gaya
muKHtalif naghme se hai qalb-e-mughanni ka raaz
jo lab-e-saz pe bhi bazm mein laya na gaya
rakh diya KHalq ne nam us ka qayamat ai 'zeb'
koi fitna jo zamane se uThaya na gaya

Ghazal
KHak par hi mere aansu hain na daman mein kahin
Zaib Usmania