KHak mein jab milaya jaunga
gundh kar phir se laya jaunga
gir gaya hun tumhaare juDe se
ab kahan par sajaya jaunga
ek diwar ki hai wahshat dhup
aur main saya saya jaunga
ghar ka matlab badalne wala hai
tere ghar mein bulaya jaunga
shahr se ishq karta hun main 'aziz'
dasht mein kyun basaya jaunga

Ghazal
KHak mein jab milaya jaunga
Waqas Aziz