KHak-basta hain tah-e-KHak se bahar na hue
jism apne kabhi poshak se bahar na hue
jurat-e-bazu-e-pairak se bahar na hue
ye samundar meri imlak se bahar na hue
zehn-e-KHufta ne hama-waqt sai ki lekin
fikr ke zawiye idrak se bahar na hue
zaKHm deti hai naya rose mujhe bhuk meri
ye masaib meri KHurak se bahar na hue
zer-e-takmil hain dast-e-fan-e-kuza-gar mein
hum wo ijad hain jo chaak se bahar na hue
shaKH par ubhre hain tabinda gulon ki surat
jo sharare KHas-o-KHashak se bahar na hue
kaam aai na koi waqt ki chaara-jui
zaKHm-e-kohna dil-e-sad-chaak se bahar na hue
mahw-e-parwaz hain sadiyon se yunhi shams-o-qamar
ye parinde had-e-aflak se bahar na hue
maslahat-kosh hue waqt ke chehre 'salim'
aks aaina-e-bebak se bahar na hue
Ghazal
KHak-basta hain tah-e-KHak se bahar na hue
Salim Shuja Ansari