kaun tha us ke hawa-KHwahon mein jo shamil na tha
ab hua malum mujh ko dil bhi mera dil na tha
ishq ki betabiyon par husn ko rahm aa gaya
jab nigah-e-shauq taDpi parda-e-mahmil na tha
thin nigah-e-shauq ki ranginiyan chhai hui
parda-e-mahmil uTha to sahib-e-mahmil na tha
qahr hai thoDi si bhi ghaflat tariq-e-ishq mein
aankh jhapki qais ki aur samne mahmil na tha
Ghazal
Kaun tha uske hawa-KHwahon mein jo shamil na tha
Asghar Gondvi