kaun tanhai ka ehsas dilata hai mujhe
ye bhara shahr bhi tanha nazar aata hai mujhe
jaane kis moD pe kho jae andhere mein kahin
wo to KHud saya hai jo rah dikhata hai mujhe
us ki palkon se Dhalak jaun na aansu ban kar
KHwab ki tarah jo aankhon mein sajata hai mujhe
aks ta aks badal sakti hun chehra main bhi
mera mazi magar aaina dikhata hai mujhe
wo bhi pahchan na paya mujhe apnon ki tarah
phul bhi kahta hai patthar bhi batata hai mujhe
ajnabi lagne laga hai mujhe ghar ka aangan
kya koi shahr-e-nigaran se bulata hai mujhe
kisi rut mein bhi meri aas na TuTi 'sarwat'
har naya jhonka KHalaon mein uData hai mujhe

Ghazal
Kaun tanhai ka ehsas dilata hai mujhe
Noor Jahan Sarwat