kaun sulagte aansu roke aag ke TukDe kaun chabae
ai hum ko samjhane wale koi tujhe kyun kar samjhae
jiwan ke andhiyare path par jis ne tera sath diya tha
dekh kahin wo komal aasha aansu ban kar TuT na jae
is duniya ke rahne wale apna apna gham khate hain
kaun paraya rog KHaride kaun paraya dukh apnae
hae meri mayus ummiden wae mere nakaam irade
marne ki tadbir na sujhi jine ke andaz na aae
is duniya ke gham-KHane mein gham se itni fursat kab hai
kaun sitaron ka munh chume kaun bahaaron mein lahrae
zabt bhi kab tak ho sakta hai sabr ki bhi ek had hoti hai
pal bhar chain na pane wala kab tak apna rog chhupae
'shad' wahi aawara shaer jis ne tujh se pyar kiya tha
shahron shahron ghum raha hai armanon ki lash uThae
Ghazal
Kaun sulagte aansu roke aag ke TukDe kaun chabae
Naresh Kumar Shad