kaun sa ishq-e-butan mein hamein sadma na hua
dard-e-furqat na hua gham na hua kya na hua
ghair ne baat to ki baat to puchhi meri
KHair se tum ko to itna bhi saliqa na hua
mahw-e-hairat hain to donon hain teri mahfil mein
hum se parda hua aaine se parda na hua
un ki ye KHubi-e-aKHlaq ki wada to kiya
meri ye shomi-e-taqdir ki ifa na hua
jazba-e-ishq se hum un ko bula lete 'rasa'
ye bhi kambaKHt tabiat ko gawara na hua

Ghazal
Kaun sa ishq-e-butan mein hamein sadma na hua
Rasa Rampuri