اردو हिंदी
Kaun le gaya dil se soz-o-saz-e-ranai | Shaahi Shayari
kaun le gaya dil se soz-o-saz-e-ranai

Ghazal

Kaun le gaya dil se soz-o-saz-e-ranai

Kaleem Ahmadabadi

;

kaun le gaya dil se soz-o-saz-e-ranai
subh se jhalakti hai aaj sham-e-tanhai

dahr ki fazaon mein kaun raqs karta hai
kaun kar raha hai yun aap apni ruswai

ek ek nafas mein tha kaif-o-wajd ka aalam
dil ki bhul baiTha ab zauq-e-naghma-pairai

dar-o-gir-e-duniya ko ai 'kalim' kya kahne
bas ki is zamane mein KHamushi hai goyai