kaun kahta hai ki yunhi raazdar us ne kiya
KHub parkha hai mujhe tab e'tibar us ne kiya
be-hijab-e-nafs tha wo ya koi ghafil badan
pairahan jo bhi diya hai tar tar us ne kiya
aaj phir apni samaat saunp di us ne hamein
aaj phir lahja hamara iKHtiyar us ne kiya
sirf ek aks-e-wafa par hi nahin Dali hai KHak
aaina-sazon ko bhi gard-o-ghubar us ne kiya
apne baam-o-dar pe raushan der tak rakkha nahin
har charagh-e-tamkanat ko be-dayar us ne kiya
main fareb-e-sham ki bahon mein gum tha aur mera
subh ki pahli kiran tak intizar us ne kiya
zindagi se jang mein ye marka hota raha
ek rajaz main ne paDha aur ek war us ne kiya
wo akela tha rah-e-nisbat mein lekin jaane kyun
meri parchhain ko bhi KHud mein shumar us ne kiya
Ghazal
Kaun kahta hai ki yunhi raazdar usne kiya
Saleem Siddiqui