اردو हिंदी
Kaun kahta hai ki aa kar dekh lo | Shaahi Shayari
kaun kahta hai ki aa kar dekh lo

Ghazal

Kaun kahta hai ki aa kar dekh lo

Hasan Barelvi

;

kaun kahta hai ki aa kar dekh lo
haal aashiq ka bula kar dekh lo

puchhte kya ho ki dil mein kaun hai
lo ye aaina uTha kar dekh lo

puchhna ye hai ki puchho mujh se haal
dekhna ye hai ki aa kar dekh lo

wo agar dekhe to aankhen phuT jaen
tum 'hasan' ko chhup-chhupa kar dekh lo