kaun kahta hai gham musibat hai
ye bhi maula ki KHas rahmat hai
log kyun zindagi pe marte hain
mere haq mein to ye qayamat hai
hila-jui hai us ki rahmat ki
kab ibaadat koi ibaadat hai
shukr neamat ka jab nahin karta
kyun musibat ki phir shikayat hai
mujh se bad-tar bahut hain aalam mein
qabil-e-rashk meri haalat hai
qalb-e-momin na gham se ghabrae
sunte hain baad-e-ranj rahat hai
mujh se hoti nahin ghazal 'nadir'
is qadar muzmahil tabiat hai

Ghazal
Kaun kahta hai gham musibat hai
Nadir Shahjahanpuri