kaun in lakhon adaon mein mujhe pyari nahin
nam lun kis kis ka mujh ko ek bimari nahin
aag kitni le ke nikla tha mera dud-e-jigar
wo faza hai kaun jis mein koi chingari nahin
yas se kyun dekhte hain dost ai aazar-e-dil
puchhte hain kya mujhe to koi bimari nahin
hath rakh kar ek zara dekho tap-e-gham ka asar
ye tumhaara hi jalaya dil hai chingari nahin
dil ne rag rag se chhupa rakkha hai tera raaz-e-ishq
jis ko kah de nabz aisi meri bimari nahin
qaid ho kar main ne kholi ham-safiron ki zaban
kis gulistan mein mera zikr-e-giraftari nahin
Ghazal
Kaun in lakhon adaon mein mujhe pyari nahin
Saqib Lakhnavi