kaun hun kyun zinda hun sochta rahta hun
KHwabon ki duniya mein jagta rahta hun
rang aur KHushbu se dhundlae raston mein
hawa ki ungli tham ke chalta rahta hun
aawazon ki gaThri sar pe uThae hue
KHamoshi ke zine chaDhta rahta hun
jahan se mere jism ko ek din ugna hai
main us banjh zamin ko DhunDhta rahta hun
aankhon ki uryani se chhupne ke liye
nae nae malbus pahanta rahta hun
subh-o-sham hawa ki andhi lahron mein
zarra zarra ho ke bikharta rahta hun
soi hui rahon mein tanha chand ke sath
sari sari raat bhaTakta rahta hun
lauh-e-jahan par banti bigaDti tahriren
dekhta rahta hun aur sochta rahta hun
jism-o-jaan ki dhup se jalte sahra mein
apna saya oDh ke chalta rahta hun
Ghazal
Kaun hun kyun zinda hun sochta rahta hun
Nazeer Qaisar