kaun duniya se baada-KHwar uTha
chashm-e-tar abr-e-nau-bahaar uTha
kha ke ghash gir paDe khaDe baiThe
baiTh kar is ada se yar uTha
aatish-e-ishq dekh kar malik
al-aman al-aman pukar uTha
dard tazim-e-marg ko dil mein
shab-e-furqat hazar bar uTha
jite-ji daur-e-asmani mein
na zamin se ye KHaksar uTha
abr-e-rahmat ne de diya chhinTa
baad marne ke jab ghubar uTha
wahshat-e-dil ne phir nikale panw
phir tahammul ka iKHtiyar uTha
phir junun fasl-e-gul mein laya rang
phir main hone ko sharmsar uTha
haal-e-'bimar' ja-e-riqqat hai
marham-e-dil ka e'tibar uTha
chor zaKHm-e-jigar mein baiTh gaya
chaaragar ho ke sharmsar uTha
Ghazal
Kaun duniya se baada-KHwar uTha
Sheikh Bimar Ali Bakhsh