kaTi pahaD si shab intizar karte hue
hui tamam sahar aah-e-sard bharte hue
the us ke hath lahu mein hamare gharq magar
zara bhi sharm na aai use mukarte hue
hawa chali to pareshan hue shajar auraq
magar na the wo hamari tarah bikharte hue
kabhi udhar se jo guzren to yaad aata hai ye
ki us ko dekhta tha us rah se guzarte hue
hamesha soch mein Duba hua wo hum ko mila
kabhi to dekhte 'farruKH' ko hum ubharte hue
Ghazal
KaTi pahaD si shab intizar karte hue
Farrukh Jafari