kaT chuki thi ye nazar sab se bahut din pahle
main ne dekha tha tujhe ab se bahut din pahle
aaj tak gosh-bar-awaz hun sannaTe mein
harf utra tha tere lab se bahut din pahle
main ne masti mein ye puchha tha ki hasti kya hai
raftgan-e-mai-o-mashrab se bahut din pahle
maslak-e-ishq faqiron ne kiya tha aaghaz
ai mablagh tere mazhab se bahut din pahle
phir kisi mai-kada-e-husn mein waisi na mili
jaisi pi thi kisi KHush-lab se bahut din pahle
ek shaKHs aur mila tha mujhe tere jaisa
tu na tha zehn mein jab, jab se bahut din pahle
hazrat-e-shaiKH ka ek rind se kaisa rishta
han mile the kisi matlab se bahut din pahle
kya teri sadgi-e-taba nai shai hai 'shuur'
log chalte the isi Dhab se bahut din pahle
Ghazal
KaT chuki thi ye nazar sab se bahut din pahle
Anwar Shuoor