اردو हिंदी
Kashakash-e-gham-e-hasti mein koi kya sunta | Shaahi Shayari
kashakash-e-gham-e-hasti mein koi kya sunta

Ghazal

Kashakash-e-gham-e-hasti mein koi kya sunta

Javed Shaheen

;

kashakash-e-gham-e-hasti mein koi kya sunta
hamin tak aa na saki dil ke TuTne ki sada

har ek phul ke chehre pe gard jamne lagi
kahin se aaj ai abr-e-bahaar jhum ke aa

chale the jis ke bharose pe rah-rawan-e-bahaar
wo mahtab sar-e-dasht pichhli shab nikla

kahin sada-e-jaras hai na gard-e-rah-e-safar
Thahar gaya hai kahan qafila tamanna ka

hujum-e-lala-o-gul raste se haT jae
talash-e-KHar mein nikla hai koi aabla-pa

guzar ke aaya hun un saKHt manzilon se jahan
tumhaari yaad ka saya bhi aas-pas na tha

kahin se koi pukare ki aaj phir 'shahin'
dilon ko Dasne laga hai dilon ka sannaTa