اردو हिंदी
Karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log | Shaahi Shayari
karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log

Ghazal

Karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log

Kashfi Lucknavi

;

karte rahen wabasta un se chahe jo afsane log
ishq mein ruswai ki parwa karte hain kab diwane log

kis ko sadaen deta hai tu shahr-e-tamanna mein ai dil
kaun yahan hai tera sathi sabhi to hain begane log

kis ko sunaen haal-e-tabahi kis ko dikhaen zaKHm-e-jigar
daur-e-sitam hai rahm kahan ab zulm ke hain diwane log

shaiKH-o-barahman ki baaton mein dair-o-haram ke jhagDe hain
chaal mein in ki phir kyun aaen hum jaise mastane log

faiz-e-junun se jag uTha hai aaj muqaddar sahra ka
phul khilate hain is mein bhi dekhiye kuchh diwane log

bachte hue sab se aae the mahfil-e-zindan ki jaanib
mil hi gae uf hum ko yahan bhi kuchh jaane pahchane log

ahl-e-junun ke faiz se kashfi duniya mein bedar hi hai
baat pate ki kah dete hain akasr ye diwane log