اردو हिंदी
Karte hue tawaf KHayalat-e-yar main | Shaahi Shayari
karte hue tawaf KHayalat-e-yar main

Ghazal

Karte hue tawaf KHayalat-e-yar main

Tarkash Pradeep

;

karte hue tawaf KHayalat-e-yar main
phir aa gaya hun zabt ki duniya ke par main

duniya ko dikh rahi hai to zinda-dili meri
patthar pe sar paTakta hua aabshaar main

chaalakiyan dhari ki dhari rah gain meri
KHub us ke aage ho raha tha hoshiyar main

yun to zara si baat hai par baat hai baDi
tu mera gham-gusar tera gham-gusar main

kal tha jo aaj bhi wahi 'tarkash-pardip' hun
dilli mein aa ke bhi nahin badla ganwar main