karta kuchh aur hai wo dikhata kuchh aur hai
dar-asl silsila pas-e-parda kuchh aur hai
har-dam taghayyuraat ki zad mein hai kaenat
dekhen palak jhapak ke to naqsha kuchh aur hai
jo kuchh nigah mein hai haqiqat mein wo nahin
jo tere samne hai tamasha kuchh aur hai
rakh wadi-e-junun mein qadam phunk phunk kar
ai be-KHabar sambhal ki ye rishta kuchh aur hai
tahrir aur kuchh hai sar-e-matn-e-zindagi
aur hashiye mein hai jo hawala kuchh aur hai
har-chand dil dhaDakta hai pal pal ghaDi ghaDi
lekin jo aaj dil ko hai dhaDka kuchh aur hai
itni bhi ehtiyat na kar jaan 'aftab'
KHadshe kuchh aur hote hain hota kuchh aur hai
Ghazal
Karta kuchh aur hai wo dikhata kuchh aur hai
Aftab Hussain