karoDon sal ka dekha hua tamasha hai
ye raqs-e-zist ki be-qasd-o-be-irada hai
ajib mauj-e-subuk-sair thi hawa-e-jahan
guzar gai to koi naqsh hai na jada hai
nashat lamhe ki wo qimaten chukai hain
ki ab zara si masarrat pe dil larazta hai
akela main hi nahin ai tamasha-gah-e-jahan
jo sab ko dekh raha hai wo KHud bhi tanha hai
usi se rishta-e-dil dil usi ru-gardan
usi ko DhunD raha hun usi se jhagDa hai
Ghazal
KaroDon sal ka dekha hua tamasha hai
Mahmood Ayaz