karo na der jahan mein jahan se aage chalo
yahan guman-e-KHatar hai qadam baDhae chalo
yahan fareb-e-nsheb-o-faraaz aksar hai
KHuda ke waste itna na munh uThae chalo
shikasta-pa hun kahin sath se na rah jaun
mujhe bhi hath zara dosto lagae chalo
abhi to husn-e-amal ka zamana baqi hai
wahan ki bigDi hui kuchh yahin banae chalo
idhar-udhar kahin bhar kar tarara ja na paDe
samand-e-umr-e-rawan ko zara dabae chalo
adam mein tarsoge dard-e-jigar ko ai 'taslim'
jo ho sake koi sine pe tir khae chalo
Ghazal
Karo na der jahan mein jahan se aage chalo
Amirullah Tasleem