karna hai zindagi jo qafas mein basar mujhe
phir kyun na hon wabaal mere baal-o-par mujhe
allah re shauq-e-did jidhar dekhta hun main
juz husn dost kuchh nahin aata nazar mujhe
hota hai koi dam mein charagh-e-hayat gul
sham-e-firaq kya ho ummid-e-sahar mujhe
rah-e-talab mein duri-e-manzil ka gham nahin
malum ho chuka hai maal-e-safar mujhe
taqdir ke likhe ko miTa dun jabin se main
qismat se mil to jae tera sang-e-dar mujhe
baiTha hua qafas mein yahi sochta hun main
lai chaman se kaun kashish khinch kar mujhe
afsana zindagi ka na puchho ki ishq mein
takni paDi hai rah-e-ajal umr-bhar mujhe
barbaadiyon ka apni koi gham nahin magar
paegi phir kahan ye tumhaari nazar mujhe
'shoala' KHayal-e-dost se ghafil nahin hun main
manzur hai jo chaara-e-dard-e-jigar mujhe

Ghazal
Karna hai zindagi jo qafas mein basar mujhe
Shola Kararvi