kare dariya na pul mismar mere
abhi kuchh log hain us par mere
bahut din guzre ab dekh aaun ghar ko
kahenge kya dar-o-diwar mere
wahin suraj ki nazren thin ziyaada
jahan the peD saya-dar mere
wahi ye shahr hai to shahr walo
kahan hain kucha-o-bazar mere
tum apna haal-e-mahjuri batao
mujhe to kha gae aazar mere
jinhen samjha tha jaan-parwar main ab tak
wo sab nikle kafan-bardar mere
guzarte ja rahe hain din hawa se
rahen zinda-salamat yar mere
daba jis se usi patthar mein Dhal kar
bike chehre sar-e-bazar mere
daricha kya khula meri ghazal ka
hawaen le uDin ashaar mere
Ghazal
Kare dariya na pul mismar mere
Mahshar Badayuni