اردو हिंदी
Kar diya dahr ko andher ka maskan kaisa | Shaahi Shayari
kar diya dahr ko andher ka maskan kaisa

Ghazal

Kar diya dahr ko andher ka maskan kaisa

Natiq Gulavthi

;

kar diya dahr ko andher ka maskan kaisa
har taraf nam kiya aap ne raushan kaisa

lag gai ek jhaDi jab mera ji bhar aaya
log sawan ko liye phirte hain sawan kaisa

duKHtar-e-raz se ulajhte ho ye kya hazrat-e-shaiKH
banda-parwar ye buDhape mein laDakpan kaisa

dost hi tha jise 'natiq' na hui kuchh parwa
warna roya hai mere haal pe dushman kaisa