kanar-e-ab hawa jab bhi sansanati hai
nadi mein chupke se ek chiKH Dub jati hai
dikhai deti hain lashen hi lashen aangan mein
kahan se KHud-kushi kar ke ye dhup aati hai
wo shai jo baiThti hai chhup ke nange peDon mein
guzarte waqt bahut taliyan bajati hai
piyun sharab main dushman ke kasa-e-sar mein
ye buzdil aarzu kaisi hansi uDati hai
'musawwir' us ko batate hain zaniya ye log
kuen mein apni jo sab nekiyan giraati hai
Ghazal
Kanar-e-ab hawa jab bhi sansanati hai
Musavvir Sabzwari

