اردو हिंदी
Kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila | Shaahi Shayari
kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila

Ghazal

Kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila

Aatish Bahawalpuri

;

kamal-e-husn ka jis se tumhein KHazana mila
mujhe isi se ye andaz-e-ashiqana mila

jabin-e-shauq ko aasudgi nasib hui
sar-e-niyaz ko jab tera aastana mila

tamam umr sahaaron ki justuju mein raha
wo bad-nasib jise tera aasra na mila

kami na thi meri duniya mein aashnaon ki
sitam to ye hai koi dard-ashna na mila

sanam-kadon mein to asnam jalwa-farma the
KHuda ke ghar mein bhi mujh ko kahin KHuda na mila

tumhein to apni jafaon ki KHub dad mili
meri wafaon ka mujh ko koi sila na mila

chaman mein rah ke bhi 'atish' KHizan-nasibon ko
kabhi bahaar ka paigham-e-jaan-faza na mila