kam sitam karne mein qatil se nahin dil mera
mere pahlu mein chhupa baiTha hai qatil mera
wasl mein yun mere pahlu ko na pahlu se daba
TuT jae na kahin aabla-e-dil mera
qatl hone na diya us ki nazakat ne mujhe
rah gaya apna sa munh le ke wo qatil mera
un ko nashsha hai main be-KHud hun yahi Dar hai mujhe
wo kahin haal na puchhen sar-e-mahfil mera
hichkiyan aain dam-e-naza to qatil ne kaha
ab to leta hai maze maut ke bismil mera
waqt-e-aKHir koi rota hai lipaT ke mujh se
ye inayat hai to marna bhi hai mushkil mera
dekhna koi sar-e-arsh se tara TuTa
ya hasin aankh se zalim ki gira dil mera
dast-basta ye kaho hazrat-e-'sahir' se 'wasim'
aap chahen to khule uqda-e-mushkil mera

Ghazal
Kam sitam karne mein qatil se nahin dil mera
Waseem Khairabadi