kal mera tha aaj wo but ghair ka hone laga
wae qismat do hi din mein kya se kya hone laga
yaad meri aa gai munh pher kar rone lage
anjuman mein un ki jab zikr-e-wafa hone laga
hae kab is ne nikale apne paikan khinch kar
dard ki lazzat se jab dil aashna hone laga
aah ne itni to ki tasir paida shukr hai
baam par aane lage wo samna hone laga
baam par jab tak wo mehr-e-husn hai sargarm-e-sair
bhiD kyun chhaTne lagi kyun rasta hone laga
KHub roya baiTh kar wamandgi ki jaan ko
jab meri nazron se pinhan qafila hone laga
ye bhi ai 'taslim' hai bargashta-baKHti ka asar
jab dawa ki hum ne dard-e-dil siwa hone laga
Ghazal
Kal mera tha aaj wo but ghair ka hone laga
Amirullah Tasleem