kaisi zamin sukun kahan ka kahan ki chhanw
mujh ko nigal gai mere naKHl-e-aman ki chhanw
chha jaegi yaqin ki arz-e-basit par
zehnon mein phailte hue dud-e-guman ki chhanw
gahraiyon ne mujh ko ubharne nahin diya
raqsan thi sath-e-ab pe ek baadban ki chhanw
suraj ki mumlikat mein ghanimat samajh use
sar se guzar gai tere abr-e-rawan ki chhanw
hum dhup ke safar pe musalsal hain gamzan
kashkol-e-chashm mein liye ek saeban ki chhanw
Ghazal
Kaisi zamin sukun kahan ka kahan ki chhanw
Zeeshan Ilahi