اردو हिंदी
Kaise unhen bhulaun mohabbat jinhon ne ki | Shaahi Shayari
kaise unhen bhulaun mohabbat jinhon ne ki

Ghazal

Kaise unhen bhulaun mohabbat jinhon ne ki

Ahmad Mushtaq

;

kaise unhen bhulaun mohabbat jinhon ne ki
mujh ko to wo bhi yaad hain nafrat jinhon ne ki

duniya mein ehtiram ke qabil wo log hain
ai zillat-e-wafa teri izzat jinhon ne ki

tazin-e-kaenat ka bais wahi bane
duniya se iKHtilaf ki jurat jinhon ne ki

aasudgan-e-manzil-e-laila udas hain
achchhe rahe, na tai ye masafat jinhon ne ki

ahl-e-hawas to KHair hawas mein hue zalil
wo bhi hue KHarab, mohabbat jinhon ne ki