kaise rafu hon chaak-e-gareban main bhi sochun tu bhi soch 
apne apne dard ka darman main bhi sochun tu bhi soch 
jis ke liye ek umr se lambi kaTi hum ne kali raat 
subh wo kyun hai sham-ba-daman main bhi sochun tu bhi soch 
mere lahu se naqsh hui hai meri hi taswir magar 
kis ka hai ye shauq-e-nigaran main bhi sochun tu bhi soch 
roz-afzun hai meri tamanna aur tera begana-pan 
is be-rabt si nazm ka unwan main bhi sochun tu bhi soch 
zaKHmon ke KHun-rang ujale mujh ko hi marghub sahi 
kaun hai in zaKHmon mein farozan main bhi sochun tu bhi soch 
ghar ki munDeron tak barpa hai diwali ka sara jashn 
kaise ho andar bhi charaghan main bhi sochun tu bhi soch 
dil ne bhi thak-haar ke aaKHir dar-darwaze band kiye 
kaun ho ab is gham ka nigahban main bhi sochun tu bhi soch 
un ke aage phaila hua tha dast-e-tamanna ai 'asrar' 
ya ki tah-e-KHanjar thi rag-e-jaan main bhi sochun tu bhi soch
        Ghazal
Kaise rafu hon chaak-e-gareban main bhi sochun tu bhi soch
Asrarul Haq Asrar

