kaise pata chalega agar samna na ho
main jis ko chahta hun mujhe chahta na ho
shab ke safar mein chand sitare to sath hain
kuchh aur mehrban falak ho to kya na ho
bichhDa wo mujh se aaise na bichhDe kabhi koi
ab yun mila hai jaise wo pahle mila na ho
pita hun roz us ki nasihat ke bawajud
mere gunah ki kahin dohri saza na ho
rakhta hun yaad is liye har fasl-e-gul 'shahab'
din hon bure hazar magar dil bura na ho
Ghazal
Kaise pata chalega agar samna na ho
Mustafa Shahab