اردو हिंदी
Kaise paun tujhe girdab nazar aata hai | Shaahi Shayari
kaise paun tujhe girdab nazar aata hai

Ghazal

Kaise paun tujhe girdab nazar aata hai

Raghunandan Sharma

;

kaise paun tujhe girdab nazar aata hai
aur tu mujh ko tah-e-ab nazar aata hai

tu jo dikh jae to main id mukammal samjhun
ab mujhe tujhmen hi mahtab nazar aata hai

chaak daman bhi hai muflis bhi hai be-ghar bhi hai
is liye zar ka use KHwab nazar aata hai

ek wo shaKHs jo auron ke liye jita ho
aaj ke daur mein kamyab nazar aata hai

daur-e-mushkil mein mujhe jis ne nahin pahchana
aaj wo milne ko betab nazar aata hai