kaise duniya ka jaeza kiya jae
dhyan tujh se agar haTa liya jae
tez aandhi mein ye bhi kafi hai
peD taswir mein bacha liya jae
hum jise chahen apna kahte rahen
wahi apna hai jis ko pa liya jae
ek hone ki qasmen khai jaen
aur aaKHir mein kuchh diya liya jae
zindagi maut ke dariche ko
ek parda hai jab uTha liya jae
kyun na aaj apni bebasi ka 'faragh'
dur se baiTh kar maza liya jae
Ghazal
Kaise duniya ka jaeza kiya jae
Azhar Faragh