kaisa tara TuTa mujh mein
jhank rahi hai duniya mujh mein
koi purana shahr hai jis ka
khulta hai darwaza mujh mein
diya jala ke chhoD gaya hai
koi apna saya mujh mein
band hui jati hain aankhen
kaisa manzar jaga mujh mein
aawazen deta hai mujh ko
koi 'mir' ke jaisa mujh mein
koi mujh ko DhunDhne wala
bhul gaya hai rasta mujh mein
KHali thi gul-dan mein Tahni
khila hua tha shoala mujh mein
baras rahi thi barish bahar
aur wo bhig raha tha mujh mein
uDta rahta hai raaton ko
'qaisar' koi parinda mujh mein
Ghazal
Kaisa tara TuTa mujh mein
Nazeer Qaisar