اردو हिंदी
Kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi | Shaahi Shayari
kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi

Ghazal

Kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi

Lala Madhav Ram Jauhar

;

kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi
nikli jo baat munh se to phaili jahan mein

sach sach kaho ye baat banana nahin pasand
kya kah rahe the ghair abhi chupke se kan mein

puchha hai haal-e-zar to sun lo KHata-muaf
kuchh baat mere honTon mein hai kuchh zaban mein

aashiq se puchhiye na sar-e-bazm haal-e-dil
parde ki baat sunte hain chupke se kan mein

furqat mein kya bataun ki din hai ki raat hai
aankhon ko sujhta nahin rone ke dhyan mein

qasr-e-jahan hai tere faqiron ka jhonpaDa
mahlon se baDh ke chain hai apne makan mein

do din ki zindagi mein jo chahe koi kare
rah jati hai bhalai burai jahan mein