اردو हिंदी
Kaif-e-surur-o-soz ke qabil nahin raha | Shaahi Shayari
kaif-e-surur-o-soz ke qabil nahin raha

Ghazal

Kaif-e-surur-o-soz ke qabil nahin raha

S A Mehdi

;

kaif-e-surur-o-soz ke qabil nahin raha
ye aur dil hai ab wo mera dil nahin raha

sine mein maujzan nahin tufan-e-arzu
Takrae kis se mauj ki sahil nahin raha

jo kuchh mata-e-dil thi wo sab KHatm ho gai
ab karobar-e-shauq ke qabil nahin raha

bazm-e-tarab bisat-e-masarrat fareb hain
main aish-e-mustaar ka qael nahin raha

kam-maegi ne dil tujhe be-qadr kar diya
duzd-e-nigah-e-naz ke qabil nahin raha

jins-e-wafa ka dahr mein bazar gir gaya
jab ishq faiz-e-husn ka hamil nahin raha

aala bhi hote hain kabhi asfal se bahra-war
gul kya khilen agar karam-e-gil nahin raha