اردو हिंदी
Kahun kya fasana-e-gham use kaun manta hai | Shaahi Shayari
kahun kya fasana-e-gham use kaun manta hai

Ghazal

Kahun kya fasana-e-gham use kaun manta hai

Qateel Shifai

;

kahun kya fasana-e-gham use kaun manta hai
jo guzar rahi hai mujh par mera dil hi jaanta hai

tu saba ka hai wo jhonka jo guzar gaya chaman se
na wo raunaqen hain baqi na kahin suhanta hai

use main nasib jaanun ki bashar ki KHud-farebi
koi bhar raha hai daman koi KHak chhanta hai

tera yun KHayal aaya mujhe gham ki dopahar mein
koi jaise apna aanchal mere sar pe tanta hai

main nizam-e-zar ki dewi se 'qatil' aashna hun
kahin nam us ka salma kahin chandrkanta hai