kahte hain nala-e-hazin sun ke
sau dil-gudaz hain dhun ke
sar agar kaTna hai chun chun ke
aastin chaDhao chun chun ke
sham-o-parwana shab ko the dil-soz
rah gae subh tak wo jal-bhun ke
ghun laga maut ka jo aaza mein
ustuKHwan KHak ho gae ghun ke
main wo nalan hun jis ke ham-saya
koste hain fughan meri sun ke
kaT saka koh-e-gham na aaKHir-kar
kohkan sar ko rah gaya dhun ke
nam-awar jo 'mir' the ai 'shad'
ab hamin ek nishan hain un ke
Ghazal
Kahte hain nala-e-hazin sun ke
Shad Lakhnavi