اردو हिंदी
Kahne ko yahan jine ka saman bahut hai | Shaahi Shayari
kahne ko yahan jine ka saman bahut hai

Ghazal

Kahne ko yahan jine ka saman bahut hai

Rasheeduzzafar

;

kahne ko yahan jine ka saman bahut hai
ek tu jo nahin zindagi viran bahut hai

milta hai sar-e-rah to katraata hai mujh se
ab apne kiye pe wo pasheman bahut hai

chehre ke tassur se to lagta hai ki KHush hai
gar ruh mein jhanko to pareshan bahut hai

phenk aaya tha wo mujh ko kisi andhi gupha mein
manzil pe mujhe pa ke wo hairan bahut hai

sita hai agar tu tujhe pana nahin mushkil
tere liye bas ram ka ek ban bahut hai

ek harf-e-mohabbat hi asasa hai 'zafar' ka
arzan jo zamane mein meri jaan bahut hai