اردو हिंदी
Kahin zahir ye teri chah na ki | Shaahi Shayari
kahin zahir ye teri chah na ki

Ghazal

Kahin zahir ye teri chah na ki

Meer Asar

;

kahin zahir ye teri chah na ki
marte marte bhi hum ne aah na ki

tu nigah ki na ki KHuda jaane
hum to Dar se kabhu nigah na ki

sab ke ji mein ye nala ho guzra
ek tere hi dil mein rah na ki

aah mar gae pa na-tawani
ek bhi aah sarbarah na ki

wo kisu aur se karega kya
jin ne tujh se 'asar' nibah na ki