kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha
tumhaare dar ki jo KHak pai to hum ne su-e-jinan na dekha
baDi chamak aaftab mein thi ajab damak mahtab mein thi
uchhaal di KHak-e-dil jo hum ne kisi ko phir zau-fishan na dekha
agar muqaddar kare na yari to farq kya hai koi jagah ho
chalo wo qaid-e-qafas hi dekhi phunka hua aashiyan na dekha
baja ye farmaya koi tujh sa gada mubarram nahin jahan mein
huzur main ne bhi sari duniya mein aap sa mehrban na dekha
hazar phulon mein dilkashi ho banae gulshan hai KHar-o-KHas par
wo kya chaman hai ki jis chaman ne nashat-e-daur-e-KHizan na dekha
uchhaal kar kashti-e-shikasta kinare maujon ne phenk di hai
baDa hi shohra tha bahr-e-gham ka par us ko bhi be-karan na dekha
ruki ruki nabz Dubta dil ukhaDti sansen bhaTakti aankhen
tumhaare hi dekhne ke qabil tha tum ne hi ye saman na dekha
kabhi purane ghamon ki sozish kabhi nai kashmakash ka khaTka
dil-e-girafta ko shadmani mein bhi kabhi shadman na dekha
hazar ki tu ne harza-goi magar kaha muddaa na dil ka
jo sach kahen to zamane mein 'kaif' tujh sa bhi be-zaban na dekha
Ghazal
Kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha
Saraswati Saran Kaif