kahin tha main mujhe hona kahin tha
main dariya tha magar sahra-nashin tha
shikast-o-reKHt kaisi fath kaisi
ki jab koi muqabil hi nahin tha
mile the hum to mausam hans diye the
jahan jo bhi mila KHandan-jabin tha
sawera tha shab-e-tira ke aage
jahan diwar thi rasta wahin tha
mili manzil kise kar-e-wafa mein
magar ye rasta kitna hasin tha
jilau mein tishnagi aankhon mein sahil
kahin sine mein sahra ja-guzin tha
Ghazal
Kahin tha main mujhe hona kahin tha
Mohammad Ahmad