kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai
charagh ke sath taqche mein gulab ka phul jal raha hai
bahut dinon se zamin apne madar par bhi nahin hai lekin
abhi wahi sham chha rahi hai abhi wahi din nikal raha hai
mujhe yaqin tha main in sitaron ke sae mein umr bhar chalunga
bahut hi aahistagi se lekin ye sara manzar badal raha hai
kabhi mohabbat se baz rahne ka dhyan aae to sochta hun
ye zahr itne dinon se mere wajud mein kaise pal raha hai
kahin rawani mein baDh rahe hain kahin sitare ruke hue hain
KHabar nahin kaenat ka ye nizam kis tarah chal raha hai
abhi guman tak nahin hai 'sajid' use main phir yaad bhi karunga
magar ye kyun aaine se haT kar wo aks bhi hath mal raha hai
Ghazal
Kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai
Ghulam Husain Sajid