kahin kho na jaana zara dur chal ke
musafir teri tak mein hain dhundalke
mera nind se aaj jhagDa hua hai
so lete hain donon hi karwaT badal ke
isi Dar se chalta hai sahil kinare
kahin gir na jae nadi mein phisal ke
ajab bojh palkon pe din bhar raha hai
agarche tere KHwab the halke halke
jatate rahe hum safar mein hain lekin
bhaTakte rahe apne ghar se nikal ke
andhere mein mubham hua har nazara
mili ek duje mein har shai pighal ke
zamane se sare sharar chun le 'atish'
yahi to anasir hain teri ghazal ke
Ghazal
Kahin kho na jaana zara dur chal ke
Swapnil Tiwari