اردو हिंदी
Kahin kahin se pur-asrar ho liya jae | Shaahi Shayari
kahin kahin se pur-asrar ho liya jae

Ghazal

Kahin kahin se pur-asrar ho liya jae

Ghulam Murtaza Rahi

;

kahin kahin se pur-asrar ho liya jae
ki apne haq mein bhi hamwar ho liya jae

wo jis ne zaKHm lagae rakhega marham bhi
usi ka dil se taraf-dar ho liya jae

yahi hai nind ka mansha ki KHwab-e-ghaflat se
sahih waqt pe bedar ho liya jae

girah-kushai-e-mauj-e-nafas bahana hai
ki is bahane se us par ho liya jae

kisi ki rah mein aane ki ye bhi surat hai
ki saya ke liye diwar ho liya jae